Bewafai
Shayari-Bhangu.Xtgem.CoM
PAGE=8
Azeem Hai Qurbat Ki Dooriyan Bhi,
By : Gagan(Views :
311)
Azeem hai qurbat ki dooriyan bhi,
Saath reh kar bhi usko na pana kaisa
lagta hai?
Kismat mein nahi phir bhi usko chahte hain,
Phool samajh kar kaanton par
chalna kaisa lagta hai?
Ab to mehfil mein bhi hamare liye tanhai hai,
Gham Chupakar mehfil ko
sajana kaisa lagta hai?
Mehfil mein doosron se has has kar milte hain,
Tanhai mein gham ke aansu
bahana kaisa lagta hai?
Samjhane par bhi samajhta nahi hai yeh dil,
Uski yaadon mein raaton ko
jaagna kaisa lagta hai?
Uski berukhi ne itne diye hai zakhm ke,
Zakhm kha kar bhi muskurana kaisa
lagta hai?
Jab woh has has kar baat karey doosron se,
Tab apne aansu ko chupana kaisa
lagta hai?
Usay kho kar to raha mere paas kuch bhi nahi,
Phir bhi khud ko ameer
batana kaisa lagta hai?
Khud ko anmol samajhne ka tha bada ghamand,
Phir bhi beymol bik jana kaisa
lagta hai?
Khaye hain Dhoke mohabbat mein itne,
Phir bhi isko chahne kaisa lagta
hai?
Maloom hai is deewane ki manzil nahi hai koi,
Phir bhi safar karte rehna
kaisa lagta hai?
Woh to aakar bhi kab ke jaa Chuke "Abrar",
Phir bhi uska Intezaar karna
kaisa lagta hai.....
Jab Bhi Baadal Garajte Hain
By : Gagan(Views : 318)
Jab bhi baadal garajte hain
Tab yaad tumhari bahaut aati hai
woh
tumhara hume baraish mai bheegana
beeghte bheegte najdeek humara aa
jana
Aur phir chupke se tumhara hume apni bahon mai samet lena
Kya yeh
haqeqat hai yaa hai koi sapna???
Gagan
MeRa HUm_kAdAm
By : Gagan(Views : 288)
MeRa hUm_kAdAm mErE Hosh Ane pe meRe,Hosh Uda detA hAi,Mujh DiwaNi ko,Wo DiwaNa bANa deta haiN.Raat yeh kauN,RoshNi ko dikha detA hai,yuN mEri palko pe,Wo khuwab saja detA haiN.Aaj tamaNNaoN ko usne mEri,bedar kiya,Mujhe jiNa ka,Wo Aadab sikha deta haiN.Wo Aaina huN,jo tut kar SaNwar jauNgi,MeRa hUm_kAdAm ,Mujhe itNi DuA deta haiN.Yeh zaruri Nahi,Akeli bhatak jauNgi?. Gagan Ek_ek pal wo mujhe,Raste ka pata deta haiN.Hosle jinke salamat haiN,MeNe mehsus kiya,Rab bhi Sabr_pe_Asar,uNke dikha deta haiN.Shukra KHUDA ka Ada karti huN,me dilse SONI,jab Gaganmujhe.Mere hone ka pata deta haiN............
HAR EK BAAT KI VAJAH
By : Gagan (Views :
697)
Har ek baat ki
Vajah nahin hoti
Sabke naseeb main
Fatah nahin
hoti
Husn walon se poochh lo,
Tumhen bata denge
Sabke liye dil main
Jagah nahin hoti
DIL TO SABHI TOD DETE HAIN (GAGAN*****)
By : Gagan (Views :
543)
DILL TO WOH HAI JISAY KOYI JAAN NAHI SKTA
DILL MEIN KYA HAI KOYI PHECHAN
NAHI SKTA
SHAYERON NE DI HAI ISAY SHEESHEY SAY TASHBI
HAKIKAT TO YE HAI KAY YE
SHEESHA BHI NAHI
SHEESHAY KAY TOOTNAY SAY SHOR SUNAYI DETA HAI
SAB KO PATA CHALTA HAI SAB
KO KHABAR HOTI HAI
DIL KO JANAY WOH,JANO TUM YA HUM
KYON KARTY HAIN IS PAR YUN ITNAY
SITAM
DIL TO SABHI TOD DETE HAIN
TODTAY HUYE YE KYON NAHI SOCHTE HAIN
UN KE SINE MEIN BHI DIL DHARAKTA HAI
SOCHEIN AGAR WOH TO KAISA LAGTA HAI
Dur
By : Gagan (Views : 414)
dur jakar bhi unse dur na ja sake,
kitne roye ki kisi ko bata na
sake,
dard ye nahi ki wo hame na mil sake,
dard ye hai ki ham unhe bhula
na sake.
Beete Pal Kabhi
By : Jitendra Toshniwal (Views : 682)
beete pal kabhi wapas aa nahi sakte,
unhe kaise kahe ke hum unke bina jee
nahi sakte,
dooriyan badhane ka faisla unka hi tha,
isliye unke khilaf hum
bhi jaa nahi sakte....
Patthar Se Dil Lagate Rahe........
By : Gagan (Views :
437)
teri yaadon ke saaye se durr
daman hum apna bachate rahe
tum samajh na sake bewafa aakhir humko
bajafaon se hi aazmaate rahe
teri ek muskurahat par hum mar jate
magar tum bewafayion ka nashtar
chalate rahe
shayad ke kabhi aa jaye unhe khayal hamara
bas issi umeed se hum dil ko
behlate rahe
woh toh patthar ki moorat hai na pighalega kabhi
hum nadaan the jo uss se
dil lagate rahe.......
Tera Chehra Dekhkar...
By : GAGAN(Views : 927)
sukoon milta hain tera chehra dekhkar...
rozana pyaar mein dil gehra
dekhkar...
har lamha bitana chahta hoon saath tere...
lout aata hoon ghar
per pehra dekhkar...
taza rakha kuredkar aashiqui ka zakhm...
ke yaadein
bewafaa aaye zakhm dekhkar...
ye husno ishq siyasi lagte hain
bahut...
chalna zindagi mein sahi mohra dekhkar...
Chaman Ki Bahaaron Mein Tha Aashiyana
By : Gagan(Views :
398)
Chaman ki bahaaron mein tha aashiyana
na jaane kahan kho gaya vo zamana
tumhen bhuulane ki main koshish karunga
ye vaada karo ke na tum yaad
aana
mujhe mere mitne ka gam hai to ye hai
tumhen bevafaa kah raha hai
zamana
Khudara meri qabr pe tum na aana
tumhen dekh kar shaq karega
zamana.......
Gagan.
Aye Mohabbat Tere Anjaam Pe Rona Aaya.....
By :
Gagan(Views : 470)
Aye mohabbat tere anjaam pe rona aaya,
Jaane kyun aaj tere naam pe rona
aaya..
Yun to har shaam ummeedon me guzar jaati thi,
Aaj kuch baat hai, jo
shaam pe rona aaya..
Kabhi taqdir ka maatam, kabhi duniya ka
gila,
Manzil-e-ishq me har gaam pe rona aaya...
Jab hua zikr zamaane me
mohabbat ka
Mujhko apne dil-e-bekaam pe rona aaya.....
Gagan
Mana Teri Nazar Mein Tera Pyaar Hum Nahi
By :
Gagan(Views : 519)
Mana teri nazar mein tera pyaar hum nahi,
kaise kahen ki tere talabgaar
hum nahi,
Khud ko jala ke khak kar dala, mita diya,
lo ab tumhari raah
mein dewaar hum nahi,
Jis ko sanwara humne tamannaon ke khoon se,
gulshan
mein us bahar ke haqdaar hum nahi,
Dhokha diya hai khud ko muhobbat ke naam
se,
kaise kahen ki tere gunahgaar hum nahi.....
Gagan..
Daastaan-e-gham-e-dil Unko Sunaii Na Gayi
By :
Gagan(Views : 352)
Daastaan-e-gham-e-dil unko sunaii na gayi
baat bigdii kuchh aisii ki
banaii na gayi
Sab ko ham bhool gaye josh-e-junoon mein lekin
ek teri
yaad thi aisi ki bhulaai na gayi
Ishq par kuchh na chalaa dida-e-tar ka
jaadoo
usne jo aag lagaa di woh bujhaai na gayi
Bhoolne Waale Se Koyi Keh De Zara
By : Gagan(Views :
508)
Bhoolne waale se koyi keh de zara
is tarah yaad aane se kya faaida,
Jab
mere dil ki duniya basaati nahin
phir khayaalon mein aane se kya
faaida
Kya kahoon aapse kitni umeeden thi
Aap kya badle duniya badal si
gayi,
Aasra de ke dil tod te hain mera
Is tarah sataane se kya
faaida....
Ishq Ke Phool Bhi Khilte Hai
By : Gagan(Views : 365)
Ishq ke phool bhi khilte hain, bikhar jaate hain
zakhm kaise bhi hon, kuch
roz main bhar jaate hain
Us khwabon main ab koi nahi aur hum bhi nahi
Itne
roz se aaye hain, chup chaap guzar jaate hain
Nurm aawaaz, bholi baatain,
mohazzab lehjaa
Pehle baarish main hi, sab rang utar jaate hain
Raasta
roke khari hai, wahi uljhan kab se
Koi puche to kahen kya ke kidhar jaate
hain....
Gagan.
Aye Mohabbat Tere Anjaam Pe Rona Aaya.....
By :
Gagan(Views : 470)
Aye mohabbat tere anjaam pe rona aaya,
Jaane kyun aaj tere naam pe rona
aaya..
Yun to har shaam ummeedon me guzar jaati thi,
Aaj kuch baat hai, jo
shaam pe rona aaya..
Kabhi taqdir ka maatam, kabhi duniya ka
gila,
Manzil-e-ishq me har gaam pe rona aaya...
Jab hua zikr zamaane me
mohabbat ka
Mujhko apne dil-e-bekaam pe rona aaya.....
Gagan
Mana Teri Nazar Mein Tera Pyaar Hum Nahi
By :
Gagan(Views : 519)
Mana teri nazar mein tera pyaar hum nahi,
kaise kahen ki tere talabgaar
hum nahi,
Khud ko jala ke khak kar dala, mita diya,
lo ab tumhari raah
mein dewaar hum nahi,
Jis ko sanwara humne tamannaon ke khoon se,
gulshan
mein us bahar ke haqdaar hum nahi,
Dhokha diya hai khud ko muhobbat ke naam
se,
kaise kahen ki tere gunahgaar hum nahi.....
Gagan..
Daastaan-e-gham-e-dil Unko Sunaii Na Gayi
By :
Gagan(Views : 352)
Daastaan-e-gham-e-dil unko sunaii na gayi
baat bigdii kuchh aisii ki
banaii na gayi
Sab ko ham bhool gaye josh-e-junoon mein lekin
ek teri
yaad thi aisi ki bhulaai na gayi
Ishq par kuchh na chalaa dida-e-tar ka
jaadoo
usne jo aag lagaa di woh bujhaai na gayi
Bhoolne Waale Se Koyi Keh De Zara
By : Gagan(Views :
508)
Bhoolne waale se koyi keh de zara
is tarah yaad aane se kya faaida,
Jab
mere dil ki duniya basaati nahin
phir khayaalon mein aane se kya
faaida
Kya kahoon aapse kitni umeeden thi
Aap kya badle duniya badal si
gayi,
Aasra de ke dil tod te hain mera
Is tarah sataane se kya
faaida.....Gagansoni..bhopal..
Ishq Ke Phool Bhi Khilte Hai
By : Gagan(Views : 365)
Ishq ke phool bhi khilte hain, bikhar jaate hain
zakhm kaise bhi hon, kuch
roz main bhar jaate hain
Us khwabon main ab koi nahi aur hum bhi nahi
Itne
roz se aaye hain, chup chaap guzar jaate hain
Nurm aawaaz, bholi baatain,
mohazzab lehjaa
Pehle baarish main hi, sab rang utar jaate hain
Raasta
roke khari hai, wahi uljhan kab se
Koi puche to kahen kya ke kidhar jaate
hain....
Gagan..
Yahi Wafaa Ka Silaah Hai
By : Gagan(Views : 453)
Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to
koi baat nahi
Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha
hai, to koi baat nahi
Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko
Woh
ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi
Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya
tha
Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi....
Mahek Teri......
By : Gagan (Views : 569)
Mahek teri aaj bhi meri sanso mein hai,
Har ek ada teri meri ankhon mein
hai,
Tu bhale hi bhula de mujhe,
Teri jagah aaj bhi meri yaadon mein
hai...
Ek Muddat Mainnn
By : Gagan (Views : 451)
Ek muddat main chup raha hoon zamaney ke liye
Ab to aaja tu mujhe yaar
mana ne ke liye
Jab bhi sunta hoon sir-e-aarsh tere aaney ka
Phool chunta
hoon rastoon main bichhaney ke liye
Tu keh ke dekh ek dafa main torr laounga
Chand tarey bhi teri maang sajaney ke liye
Tujhe se bichhra to Kisi per
Na bharoosa aaya
Werna her shakhes mila dost banaey ke liye
Jaan jaow
gay Kisi sham meri ulfat KO
Per Na paow gay mujhe pyaar jataney ke liye
Teri dunya se bhut durr chala aaya hoon
Phir bhi ek umar chahta hoon
bhulaney ke liye
Koun khurram Kisi ka derd baant sekta hai
Sab hain hum
derd magar rasem nibhaney ke liy
Jo Na Mil Sakay...//////
By : Gagan (Views : 476)
Jo na mil sakay wohi be-wafa
ye bari ajeeb si baat hai
jo chala gaya
mujhay chor ker
wohi aaj tak meray saath hai
karay pyar...lub pay gila na ho
ye kisi kisi ka naseeb hai
ye karam hai
os ka jafa nahe
woh juda bhi reh ker kareeb hai
wohi aankh hai meray ro ba
ro
osi haath main mera haath hai
mera naam tak jo na lay saka
jo mujhay qaraar na day saka
jisay
ikhtiyar tou tha magar
mujhay apna pyar na day saka
wohi shakhs meri
talaash hai
wohi dard meri hayat hai
Jo na mil sakay wohi be-wafa
ye bari ajeeb si baat hai
jo chala gaya
mujhay chor ker
wohi aaj tak meray saath hai
Jab Ishq Tumhen Ho Jayega
By : Gagan (Views : 423)
mere jaise ban jaaoge jab ishq tumhen ho jaayegaa
diivaaron se sar
Takaraaoge jab ishq tumhen ho jaayegaa
har baat gavaaraa kar loge mannat
bhii utaaraa karoge
taabiizen bhii bandhavaaoge jab ishq tumnhen ho jaayegaa
tanhaa_ei ke jhoole khulenge har baat puraani bhulenge
aa_eine se tum
ghabraaoge jab ishq tumhen ho jaayegaa
jab suraj bhi kho jaayegaa aur chaand
kahin so jaayegaa
tum bhi ghar der se aaoge jab ishq tumhen ho jaayegaa
bechaini barr jaayegi aur yaad kisii ki aayegi
tumhen meri Ghazal yaad
aaye gi jab ishq tumhen ho jaayegaa
NA DEKHO SAPNEY KISI KEY.......
By : Gagan (Views :
443)
NA DEKHO SAPNEY KISI KEY.......
NA DEKHO SAPNEY KISI KEY.......
Na dekho sapney kisi key
Is qadar key
Jab woh toot jayein
To phir
is ka
Dukh bhi na hoo
Naa chahoo kisi ko
Is qadar key
Jab woh root jayein
To phir mananey
wala
Koi bhi naa hoo
Naa mangoo kisi ko
Is qadar duaoon mein key
Jab woh na miley
To
ruswayeee key siwa
kuch bhi na hoo
Naa dekho kisi ko
Aisi nazron sey key
Jab woh jayeey to
Dekhney
wali
Koi nazar naa hoo
Naa basaoo kisi ko
Apney dil ki nagri mein key
Jab woh rukhsat ho
to
Yeh dil ki duniya
Abad hi naa hoo
Dil-e-nadaan Tujhay Hoa Kya Hai
By : Gagan (Views :
364)
dil-e-nadaan tujhay hua kya hai
aakhir iss dard ki dawa kya hai...
hum hain mushtaq aur woh baezaar
Ya-Ilaahi ye maajra kya hai...
jab ke tujh bin nahi koi maujood
phir ye hangaama aye Khuda kya hai...
hum ko unsay hai wafa ki umeed
jo nahi jaantay wafa kya hai...
jaan tum per nisaar karta hon
main nahi jaanta duaa kya hai...
main bhi mooh main zabaan rakhta hoon
kaash poocho mudda kya hai...
haan bhala kar tera bhala hoga
aur darwesh ki sada kya hai...
main ne maanaa ke kuch nahi Ghalib
muft haath aaye tou bura kya
hai.....
Bepannah Mohabbat
By : Rajesh (Views : 387)
Tum kya jaano mohabbat is Sheddaii ki,
jisme tu nazar aati hai, kaise
bhulu main ehmiat apni parchaii ki,
aey khuda zara unko bhi dedo khabar
hamari tanhayii ki,
daad dete hai hum unki ruswaii ki,
goonjti ab bhi hai
kaano mein awaaz teri shennai ki,
chahunga tuje har pal, kasam hai mujhe us
khuda ki khudaii ki!!!
Jo Na Mil Sakay...
By : Gagan (Views : 631)
Jo na mil sakay wohi be-wafa
ye bari ajeeb si baat hai
jo chala gaya
mujhay chor ker
wohi aaj tak meray saath hai
karay pyar...lub pay gila na ho
ye kisi kisi ka naseeb hai
ye karam hai
os ka jafa nahe
woh juda bhi reh ker kareeb hai
wohi aankh hai meray ru ba
ru
usi haath main mera haath hai
mera naam tak jo na lay saka
jo mujhay qaraar na day saka
jisay
ikhtiyar tou tha magar
mujhay apna pyar na day saka
wohi shakhs meri
talaash hai
wohi dard meri hayat hai
Jo na mil sakay wohi be-wafa
ye bari ajeeb si baat hai
jo chala gaya
mujhay chor ker
wohi aaj tak meray saath hai.
Ek Muddat Main
By : Gagan (Views : 381)
Ek muddat main chup raha hoon zamaney ke liye
Ab to aaja tu mujhe yaar
mana ne ke liye
Jab bhi sunta hoon sir-e-aarsh tere aaney ka
Phool chunta
hoon rastoon main bichhaney ke liye
Tu keh ke dekh ek dafa main torr laounga
Chand tarey bhi teri maang sajaney ke liye
Tujhe se bichhra to Kisi per
Na bharoosa aaya
Werna her shakhes mila dost bananey ke liye
Jaan jaow
gay Kisi sham meri ulfat KO
Per Na paow gay mujhe pyaar jataney ke liye
Teri dunya se bhut durr chala aaya hoon
Phir bhi ek umar chahta hoon
bhulaney ke liye
Koun khurram Kisi ka dard baant sekta hai
Sab hain hum
dard magar rasem nibhaney ke liye